Sunday, June 9, 2013

Hausla Kaafi Hai


Ek phool hi kaafi hai poore gulsitaan ko mehekaane ke liye,
Ek sitaara kaafi hai poora aasmaa sajaane ke liye,
Andhera toh bas hamesha andhera hi rahega,
Magar ek chiraag kaafi hai is andhere ko mitaane ke liye.

Jo hai yeh tujhme ek junoon bikharta hua, yeh ek din hunar zaoor banega,
Hoga yeh fir hunar hi kaafi poori zindagi bitaane ke liye.

Dost tujhe is raah me roz naye mile,
Magar ek puraana kohinoor hi kaafi hai teri shaam sajaane ke liye.
Aag kahi lage toh lag jaane de,
Ek sailaab c kaafi hai is aag ko bujhaane ke liye.

Pathar nahi ek kankar hi kaafi hai tujhe teri rah se hataane ke liye
Magar tera yeh hausla kaafi hai nayi raah fir banaane ke liye......

No comments: